dikhawa

shikasta diwar-o-dar pe sabza bahaar ke rag alapta hai

siyah darzon mein ghas ke zard nim-jaan phul hans rahe hain
main apni viran KHizan-zada zindagi se begana ho gaya hun
thirak rahi hai fasurda honTon pe ek sakun-bar muskurahaT
jo mujh ko mujh se chhupa rahi hai main hans raha hun main kho gaya hun

kisi ko hamwar sath ki tah mein tund lahron ka kya pata hai