Sharafat chhin leti hai sadaqat chhin leti hai

sharafat chhin leti hai sadaqat chhin leti hai

qalam-karon se KHuddari zarurat chhin leti hai

riya-kari se bachiye ye bahut zahrili nagin hai

ye nagin zindagi bhar ki ibaadat chhin leti hai

zamane mein zaruri hai bahut talim ka hona

jahaalat aadmi se aadamiyat chhin leti hai

bhari ho jeb to insan nashe mein chur rahta hai

zara si tang-dasti sab nazakat chhin leti hai

agar jannat ki chahat hai to KHidmat shart hai man ki

agar man ruTh jati hai to jannat chhin leti hai

jahan tak ho sake aalam kisi se qarz mat lena

miyan ye qarz-dari KHair-o-barkat chhin leti hai