Ishq mera hai agar raat ki rani ki tarah

ishq mera hai agar raat ki rani ki tarah

husn us ka bhi hai phulon ki jawani ki tarah

ai meri jaan-e-wafa teri wafaon ki qasam

tu mujhe yaad hai nani ki kahani ki tarah

kya koi samjhe tere husn ki tahdari ko

mujh pe khulti hai faqat misra-e-sani ki tarah

kucha-e-dil se guzarti hain jo teri yaaden

ashk bahte hain meri aankhon se pani ki tarah

chahta jab hun koi nazm kahun tere liye

main ulajh jata hun alfaz-o-maani ki tarah

hai siwa kaun tere mujh ko jo taslim kare

mere mahbub meri talKH-bayani ki tarah

na koi shor sharaba na koi halchal hai

zindagi lagti hai Thahre hue pani ki tarah

main ne is dil ki tijori mein rakha hai ‘alam’

us ki har chiz ko anmol nishani ki tarah