bewafa ab na mohabbat ki duhai dunga
zindagi bhar main tujhe zaKHm-e-judai dunga
jo mujhe jaisa samajhta hai samajhne dije
apne bare mein kahan tak main safai dunga
mere hisse mein bhi aaya hai bulandi ka safar
aasman walon tumhein main bhi dikhai dunga
baKHsh dega wo meri sari KHataen fauran
us ki rahmat ki use itni duhai dunga
apne man-bap ko kandha bhi nahin de paya
jo ye kahta tha unhen sari kamai dunga
main safiran-e-mohabbat ki sada hun ‘alam’
mar bhi jaun to zamane ko sunai dunga