mere KHwabon ko nigalne ka irada na kare
kah do suraj se nikalne ka irada na kare
us se baDh kar koi muhtaj nahin ho sakta
gir ke jo shaKHs sanbhalne ka irada na kare
jo hawaon ke mizajon se nahin hai waqif
mere hamrah wo chalne ka irada na kare
guftugu zahr-bhari sun le jo insanon ki
sanp bhi zahr ugalne ka irada na kare
apni qismat mein hai manzil to KHud aa jaegi
ab junun rah badalne ka irada na kare
niyyaten saf ghaTaon ki nahin hain ‘alam’
chand se kah do nikalne ka irada na kare