ek nazm

faza mein ek sukun tha

har taraf sahme hue se zard chehre

pyas ke mare zamin par gir rahe the

aur kuchh be-rahm data

bebasi ka ye tamasha

dekh kar KHush ho rahe the

garm pyasi ret par baiThe hue

sare kisi ke muntazir the

waqt ke data sabhi

KHud-saKHta KHolon mein lipTe so rahe the

aur bahar

pyas ka sahra musalsal munh chiDhata tha

ki itne mein

usi sahra ki qismat khul gai

phir

ek chashma phuT kar

sahra ki tapti ret par

bahne laga ek dastan kahne laga

chhoTe baDe patthar bikhar kar reza reza ho gae

sari purani gard pal mein bah gai

aur sirf pani ki rawani rah gai

jo sare bhaari aur bosida buton ko bhi

baha kar le gai

chaaron taraf ek raushni phaili

sabhi chehron ne sukh ka sans paya

aur ek KHush-kun safar ke KHwab dekhe

aur phir

ek sazishi lamha

badan par zulm ki sangin qaba pahne

bahimana raunat sar pe rakkhe

apne bhaari bhaari buTon mein

hamari umr bhar ki mehnaton aur KHwahishon ke

us ujale ko chura kar le gaya

jo sainkaDon tarik lamhon ke

samundar se hamein hasil hua tha