zaitun ki TuTi shaKH

in meri jawan

ungliyon se raste jate hain

mere buDhe lambe sal

main tanhai ki

ThanDi sil par baiTha hun

aur rota hun

main azal abad ka andha musafir

chalta hun

main apne qadmon se niklun

mujhe rasta do

sab chehre mere apne hain

go kale hain

sayon ke taaqub mein

mere panw mein chhaale hain

is hashr-ba-daman duniya mein

mujhe shakti do