do aalam

ek bharpur mukammal pan
yak jaani ghusl aur nashta
dhobi dhule hue kapDe be polish boot
saDken aabaadi tanhai
KHabren sher aawazen rang
masafat sabza peD pahaD aur pani
nange pair aur sath ki hairani dil ki gahrai
tanhai ka sukun aur
tanhai ki wahshat

ek bharpur mukammal pan
yak-jaani yaktai
raat ka khana sair
aur hat mein hat
aur waqt ki tezi
sine sile hue
KHunki mein hiddat
garmi mein kuchh aur bhi achchhi hiddat
KHwab bahao sara aalam
jagte jagte sona sote sote
jagte rahna yak tai yak jaani
pani dariya pani gahra sabz samundar
jis mein tan Duben tanhai nikle
shah-e-rag se nazdik ragon mein rawan
sine ki sans lahu ki surKHi
aankh ki binai yak tai
yak jaani bharpur mukammal-pan
tanhai
tanhai