un ko phir be-naqab kaun kare
dil ki duniya KHarab kaun kare
shauq-e-izhaar-e-arzu hi nahin
dagh-e-gham ka hisab kaun kare
nigah-e-intiKHab shahid hai
himmat-e-intiKHab kaun kare
bazm mein wo to muntazir hain mere
bazm mein baryab kaun kare
dekhte hain wo mast nazron se
yaad jam-e-sharab kaun kare
tab-e-guftar hi nahin baqi
shikwa-e-iztirab kaun kare
dil hai nakaam-e-arzu ‘nayyar’
ab ise kaamyab kaun kare