teri shikast ka harba talash karte hain
tujhe nahin tere jaisa talash karte hain
charagh phul shagufa dhanak sitara chand
hum ahl-e-zauq bhi kya kya talash karte hain
suna hai jab se ki KHushiyon ka eatibar nahin
ghamon ko lamha-ba-lamha talash karte hain
hain ramz-e-azmat-e-tishna-labi se hum waqif
ho pahra jis pe wo dariya talash karte hain
wo jis ko dekh ke hiss-e-latif jag uThe
wahi badan wahi chehra talash karte hain
sukut-e-zat ka sannaTa ab shabab pe hai
hum ek chahne wala talash karte hain
wahi ki saya tha jis ka na koi sani tha
wo nur nur sarapa talash karte hain
unhen mili hai wirasat mein sabr ki tahzib
jo dard mein hi mudawa talash karte hain