shafqat ke aas-pas murawwat ke aas-pas

shafqat ke aas-pas murawwat ke aas-pas
paoge hum ko sirf mohabbat ke aas-pas

pahchan lena bas wahi mahbub hai mera
mil jae aap ko jo nazakat ke aas-pas

ye kya ki aaj aap kahin bhi nahin mile
KHalwat ke aas-pas na jalwat ke aas-pas

in ko kahin bhi le chalun koi saman dikhaun
phirti hain aankhen bas teri surat ke aas-pas

tere siwa koi bhi tamanna nahin mujhe
rahta hai tu hi to meri hasrat ke aas-pas

kya yunhi lahja hai mera is darja dil-nawaz
rahta hun ek sarapa-nafasat ke aas-pas

mahsus karta hun main tujhe ai mere habib
har dil-fareb nikhat-o-zinat ke aas-pas