qurb ke tasawwur se dosti bana Dalen

qurb ke tasawwur se dosti bana Dalen
raat sa surur-afza din ko bhi bana Dalen

sath sath jine aur marne ki qasam kha kar
pahli pahli chahat ko aaKHiri bana Dalen

yaadon ke diye rakh kar ishq ke shabistan mein
aao is andhere ko raushni bana Dalen

aashnai ko rang-e-ashiqi ata karke
chaliye is takalluf ko dilbari bana Dalen

aur pas aa jaanan palkon ko uTha jaanan
aankhon ki ziyarat ko mai-kashi bana Dalen

us ki bewafai ka sog aaKHirash kab tak
kyon na ab har ek gham ko hum KHushi bana Dalen

itne dhoke khae hain ab ye dil mein aata hai
har shanasa chehre ko ajnabi bana Dalen

bazuon mein hum apne quwwat-e-amal rakh kar
maut ke thapeDe ko zindagi bana Dalen