niyat bhanpne ka hunar jaanta hai
mera yar paDhna nazar jaanta hai
zabardasti anjaan hai ban raha wo
mera haal-e-dil sar-basar jaanta hai
pata to hain aadab-e-ishq us ko lekin
han itna hai kuchh muKHtasar jaanta hai
baDi KHubiyon wala hai chaaragar wo
mudawa-e-dard-e-jigar jaanta hai
mujhe bandagi ka sabaq mat paDhao
kahan jhukna hai mera sar jaanta hai
akela nikal kar hua qafila ek
kuchh aisa wo fann-e-safar jaanta hai
har ek gham ka andaz jaise jahan mein
faqat mera hi ek ghar jaanta hai
shifayab kis ki dua se hua hun
ye rab ya dua ka asar jaanta hai
guzari hai umr us ne be-KHauf ho kar
magar kaisa hota hai Dar jaanta hai