manata hun magar waise hi bas ruThe hue se hain

manata hun magar waise hi bas ruThe hue se hain
wo shayad tark-e-ulfat ki qasam khae hue se hain

tumhaare hijr ke sadmon ne haalat ye bana di hai
na hum soe hue se hain na hum jage hue se hain

bas itne se samajh lo ku-e-jaanan ke fazael tum
gulon ke misl hi kanTe wahan mahke hue se hain

ai mere sabr zindabaad ai meri pyas zindabaad
jo paimane ki KHali the wo sab chhalke hue se hain

meri parwaz pahle jaisi rifat kyon nahin pati
zara dekho to kuchh par kya mere katre hue se hain

ba-zahir aur ba-baatin mein yahi ek farq hai sahib
wo mere sath mein to hain magar bichhDe hue se hain

tere dil mein bhi kya chahat ke narm ehsas jag uTThe
tere andaz aaKHir aaj kyon badle hue se hain

zarur un se junun-bar-dosh diwane gae honge
pahaDon aur chaTTanon pe jo raste hue se hain