kaho ek dusre ki kab zarurat ho gae hum tum

kaho ek dusre ki kab zarurat ho gae hum tum
bhala kaise giraftar-e-mohabbat ho gae hum tum

ana adl aatma sach sab ka sauda yar kar baiThe
sitam hai is tarah se nazr-e-ghurbat ho gae hum tum

mohabbat ke muqaddas mohtaram mahaul mein rah kar
zara dekho to kitne KHubsurat ho gae hum tum

ghalat-fahmi ghurur-o-shan-o-zid aur wahm ke hathon
bas ek pal mein mohabbat se adawat ho gae hum tum

zahe qismat ai hamdam apne fart-e-ishq ke sadqe
junun ki ek tariKHi hikayat ho gae hum tum

chhaTe jab bad-gumani ke andhere tab samajh pae
ki tark-e-ishq se mahrum-e-neamat ho gae hum tum

hamari dosti ko dekh kar kuDhte hain bechaare
jahan walon ki KHatir yar zahmat ho gae hum tum

sabhi kahte hain tifli mein bahut masum bhole the
jawan ho kar bhala kaise qayamat ho gae hum tum