jo sikhana hai to phir is Dhang ki baaten sikha

kar lun sab ke dil mein ghar aisi munajaten sikha

mujh ko tanha karne se pahle ai mere ham-nafas

kaise kaTunga main tere hijr ki raaten sikha

dur se didar ki bas puri hongi hasraten

jo bana den aashna aisi mulaqaten sikha

apne shauq-e-girya se mausam-zada baadal ko tu

kaise be-mausam hua karti hain barsaten sikha

raat ko din karne wale ai mere shatir aziz

jaise tu chalta hai yun chalna mujhe ghaten sikha

wird ne jin ke tujhe KHushiyan hi KHushiyan baKHshi hain

mujh ko bhi paDhna mohabbat ki wo aayaten sikha

dard-e-dil aankhon mein aansu aur tabassum pyar mein

kaise di jati hain ye anmol saughaten sikha

main bhi mearaj-e-mohabbat chahta hun jaan-e-man

mujh ko andaz-e-mohabbat ki hidayaten sikha

ishq se na-ashna hun tere jalwon ki qasam

aa ke apne husn-e-dilkash ki mudaraaten sikha