ye jo biphre hue dhaare liye phirta hun main

ye jo biphre hue dhaare liye phirta hun main
apne hamrah kinare liye phirta hun main

tabish o tab liye aaega suraj mera
raat bhar sar pe sitare liye phirta hun main

barg-e-awara-sifat sath mujhe bhi le chal
tere andaz to sare liye phirta hun main

ye alag baat chura leta hai nazren apni
us ki aaankhon mein nazare liye phirta hun main

kohr mein Dubi ye sarma ki sawer ai duniya
tum samajhti ho tumhaare liye phirta hun main

jaane kya baat hai pure hi nahin hote hain
jaane kya dil mein KHasare liye phirta hun main

phul honTon pe hansi ke hain mahakte hue ‘shaz’
aur sanson mein sharare liye phirta hun main