khoya hua tha hasil hone wala hun

khoya hua tha hasil hone wala hun
main kaghaz par nazil hone wala hun

chhoD aaya hun pichhe sab aawazon ko
KHamoshi mein daKHil hone wala hun

KHud hi apna rasta dekh raha hun main
KHud hi apni manzil hone wala hun

mujh ko sharik-e-mahfil bhi kab samjhen wo
main jo jaan-e-mahfil hone wala hun

jaane kya kah jaega Dar lagta hai
aaine ke muqabil hone wala hun

ruh sulagti aur pighalti jati hai
ek badan mein shamil hone wala hun

aaKHir kab tak apne naz uThaun ‘shaz’
aaj apna hi qatil hone wala hun