kahan din raat mein rakkha hua hun

kahan din raat mein rakkha hua hun
ajab haalat mein rakkha hua hun

talluq hi nahin hai jin se mera
main un KHadshat mein rakkha hua hun

kabhi aata nahin tha hath apne
ab apne hath mein rakkha hua hun

zara bhi rah nahin sakta hun jin mein
main un jazbaat mein rakkha hua hun

jalae kis tarah ye dhup mujh ko
kahin barsat mein rakkha hua hun

KHamoshi kah rahi hai ‘shaz’ us ki
main us ki baat mein rakkha hua hun