hum tujhse koi baat bhi karne ke nahin the

hum tujh se koi baat bhi karne ke nahin the
imkan bhi haalat sanwarne ke nahin the

bhar Dala unhen bhi meri bedar nazar ne
jo zaKHm kisi taur bhi bharne ke nahin the

ai zist idhar dekh ki hum ne teri KHatir
wo din bhi guzare jo guzarne ke nahin the

kal raat teri yaad ne tufan wo uThaya
aansu the ki palkon pe Thaharne ke nahin the

un ko bhi utara hai baDe shauq se hum ne
jo naqsh abhi dil mein utarne ke nahin the

ai gardish-e-ayyam hamein ranj bahut hai
kuchh KHwab the aaise ki bikharne ke nahin the