dukh na sahne ki sazaon mein ghira rahta hai

dukh na sahne ki sazaon mein ghira rahta hai
shahr ka shahr duaon mein ghira rahta hai

na bulao to bulata hi nahin hai koi
jis ko dekho wo anaon mein ghira rahta hai

koi manzil hai ki duri mein chhupi hai kab se
koi rasta hai ki panw mein ghira rahta hai

dil ko fursat nahin milti kabhi ummidon se
ye sukhi ‘shaz’ gadaon mein ghira rahta hai