dhup saron par aur daman mein saya hai

dhup saron par aur daman mein saya hai
sun to sahi jo peDon ne farmaya hai

kaise kah dun bich apne diwar hai jab
chhoDne koi darwaze tak aaya hai

us se aage jaoge tab jaanenge
manzil tak to rasta tum ko laya hai

baadal ban kar chahe kitna uncha ho
pani aaKHir miTTi ka sarmaya hai

aaKHir ye nakaam mohabbat kaam aai
tujh ko kho kar main ne KHud ko paya hai

‘shaz’ mohabbat ko apnana khel nahin
apne hath se apna hath chhuDaya hai