dekho ghir kar baadal aa bhi sakta hai

dekho ghir kar baadal aa bhi sakta hai
aadhi raat wo pagal aa bhi sakta hai

yun jo uDta phirta hai tere sar par
pairon mein ye aanchal aa bhi sakta hai

rakh ke Dher mein aag chhupi bhi hoti hai
KHali aankh mein kajal aa bhi sakta hai

lazim hai kya sab ki pyas ho ek jaisi
ho kar koi jal-thal aa bhi sakta hai

itne moD safar mein dekh chuka hun ‘shaz’
mere KHayalon mein bal aa bhi sakta hai