chhanw se us ne daman bhar ke rakkha hai

chhanw se us ne daman bhar ke rakkha hai
jis ne dhup ko upar sar ke rakkha hai

pal pal KHun bahata hun in aankhon se
main ne KHud ko manda mar ke rakkha hai

sari baat hi pahle qadam ki hoti hai
pahla qadam hi tu ne Dar ke rakkha hai

apne hi bas pichhe bhagta rahta hun
KHud ko hi bas aage nazar ke rakkha hai

KHud hi khaDe hue hain apne pairon par
hath apna hi upar sar ke rakkha hai

‘shaz’ us se hi KHush hota hai waqt ustad
yaad sabaq sab jis ne kar ke rakkha hai