kuchh chup hain aaina jo wo har bar dekh kar
kuDhte hain apni chashm ko bimar dekh kar
aasan nahin moamla us puKHta-kar se
leta hai jins-e-dil ko bhi sau bar dekh kar
nazan hai apni quwwat-e-bazu pe kis qadar
paikan ki ja wo sine mein sufar dekh kar
rote hain apne haal pe phir kyun ye na-sipas
kahta hai meri chashm-e-guhar-bar dekh kar
‘arif’ bhare hue hain mazamin-e-dard-o-gham
KHush howe kya koi mere ashaar dekh kar