har ghaDi chalti hai talwar tere kuche mein

har ghaDi chalti hai talwar tere kuche mein
roz mar rahte hain do-chaar tere kuche mein

shakl ko kyunki na har dafa badal kar aaun
hain meri tak mein aghyar tere kuche mein

gham se badli hai meri shakl to be-KHauf-o-KHatar
din ko bhi aate hain sau bar tere kuche mein

na kare su-e-chaman bhul ke bhi ruKH hargiz
aan kar bulbul-e-gulzar tere kuche mein

nargisistan na samajh kholi hui aankhon ko
hain tere talib-e-didar tere kuche mein

lae jab ghar se to behosh paDa tha ‘arif’
ho gaya aan ke hushiyar tere kuche mein