marham ke nahin hain ye taraf-dar namak ke

marham ke nahin hain ye taraf-dar namak ke

nikle hain mere zaKHm talabgar namak ke

aaya koi sailab kahani mein achanak

aur ghul gae pani mein wo kirdar namak ke

donon hi kinaron pe thi bimaron ki majlis

is par the miThe ke to us par namak ke

us ne hi diye zaKHm ye gardan pe hamari

phir us ne hi pahnae hamein haar namak ke

kahti thi ghazal mujh ko hai marham ki zarurat

aur dete rahe sab use ashaar namak ke

jis samt mila karti thin zaKHmon ki dawaen

sunte hain ki ab hain wahan bazar namak ke