KHud apne KHun mein pahle nahaya jata hai

KHud apne KHun mein pahle nahaya jata hai

waqar KHud nahin banta banaya jata hai

kabhi kabhi jo parinde bhi an-suna kar den

to haal dil ka shajar ko sunaya jata hai

hamari pyas ko zanjir bandhi jati hai

tumhaare waste dariya bahaya jata hai

nawazta hai wo jab bhi azizon ko apne

to sab se baad mein hum ko bulaya jata hai

hamin talash ke dete hain rasta sab ko

hamin ko baad mein rasta dikhaya jata hai