kash ki main bhi hota patthar

kash ki main bhi hota patthar

gar tha un ko pyara patthar

logo ki to baat karen kya

tera dil bhi nikla patthar

hum donon mein banti kaise

ek tha shisha duja patthar

shisha to kamzor baDa tha

phir bhi kaise TuTa patthar

sab ke hisse hire moti

mere hisse aaya patthar

paras tha wo tum ne jaana

sab ne jis ko samjha patthar

kal tak phul the jin hathon mein

un hathon mein aaj tha patthar