kahin na aisa ho apna waqar kha jae

kahin na aisa ho apna waqar kha jae

KHizan se phul bachaen bahaar kha jae

hamare jaisa kahan dil kisi ka hoga bhala

jo dard pale rakhe aur qarar kha jae

palaT ke sang teri aur phenk sakta hun

ki main wo qais nahin han jo mar kha jae

usi ka daKHila is dasht mein karo ab se

jo sabr pi sake apna ghubar kha jae

bahut qarar hai thoDi si be-qarari de

kahin na aisa ho mujh ko qarar kha jae

ajab safina hai ye waqt ka safina bhi

jo apni god mein baiTha sawar kha jae