ghazal ki chahaton ashaar ki jagir wale hain

ghazal ki chahaton ashaar ki jagir wale hain

tumhein kis ne kaha hai hum bari taqdir wale hain

wo jin ko KHud se matlab hai siyasi kaam dekhen wo

hamare sath aaen jo parai pair wale hain

wo jin ke panw the aazad pichhe rah gae hain wo

bahut aage nikal aaen hain jo zanjir wale hain

hain khoTi niyyaten jin ki wo kuchh bhi pa nahin sakte

nishane kya lagen un ke jo TeDhe tir wale hain

tumhaari yaaden patthar baziyan karti hain sine mein

hamare haal bhi ab hu-ba-hu kashmir wale hain