aaghaz

sukun bhari

kisi KHamosh jhil ke kinare

amaltas si main

mausam-e-bahaar mein

mohabbat ke jazire se aati

pur-asar hawaon ke jhonkon ki

guftugu sunti hun

kisi ajnabi si zaban mein

kuchh an-kahe se lafz hain

kisi jaane pahchane se kirdar ki

kuchh nai nai si aawaz hai

kisi sune sune se fasane ke

kuchh an-dekhe andaz hain

main dekhti hun ki kuchh nae nae se phul

meri sharmili si Tahniyon mein

kuchh narangi sa rang liye hue hai

koi nashili si mahak hai

ye kaisi kahani hai

ye kya rang hai