us din – basen chalti rahengi apne routon par

basen chalti rahengi apne routon par
Trailer yunhi bandar-gah se saman laenge
jahazon aur trainon ke
schedule aur Time-Table mein
na koi farq aaega
na koi masala hoga
dukanon kar-KHanon daftaron mein
haziri mamul ki hogi
double-roTi banegi aur tannuron mein
KHamiri roghni sadi
sabhi aqsam ki roTi lagegi
aur shikam-seri ki KHatir pitza bargar siri-pae nahaari ke
banane aur pakane mein
zara bhi jo kami hogi
main jis din mar gaya us din
raqiq-ul-qalb hain jo chahne wale
bahut ro ro ke apna sham ek
barbaad kar lenge
jo jazbaati nahi itne
wo kuchh pite hue is raat mujh ko yaad kar lenge