sawal – ye sari duniya sawaliya hai

ye sari duniya sawaliya hai
har ek chehra sawal andar sawal hai aur
har ek manzar sawal ban kar
jawab ka muntazir khaDa hai
agar koi samne bhi aae
aur aa ke ek baat ka bhi hum ko
jawab de de
to dar-haqiqat jawab mein bhi
na jaane kitne sawal honge
hazar-ha nit-nae masail hamein milenge
ki aaj tak to yahi hua hai
jawab hi se sawal nikle
jawab hi mein sawal DhunDe
ye sari duniya sawaliya hai
KHud aadmi ek sawal hai aur
usi ne paiham sawal uTha ke
sawal karne ki rit Dali
sawal-e-awwal bhi aadmi hai
sawal-e-aKHir bhi aadmi hai
jawab-e-mutlaq bhi aadmi hai
agar yaqin ho
to aadmi par kamand Dalen
sawal hi mein jawab DhunDen