KHwahish – mujhe wo KHauf tha

mujhe wo KHauf tha
ki jis se koi bhi bacha nahin
wahi to ek sawal tha
ki jis sawal ka jawab
aaj tak
kisi ko bhi mila nahin
bas us ke jism-o-jaan ke be-kanar
paniyon mein pair ne ka bhut
sar pe yun sawar tha
aur aisa intizar tha
ki ek ek pal jo kaT raha tha
bar tha
ye sab jahan tha fuzul
gard tha ghubar tha