kangal – tumhein bhi malum hai mujhe bhi

tumhein bhi malum hai mujhe bhi
ki pas mere to kuchh nahin hai
jo zar-parasti ke is jahan mein
mujhe bhi kuchh mo’atabar bana de
na qimti hai libas mera
na mal-o-daulat zar-o-jawahar
ki jin mein tum ko sharik kar lun
meri to daulat ajib si hai
meri mata-e-jahan mein tum ko
bahut si ruswaiyan milengi
wafa ke aansu guman ki KHushiyan
junun ki danaiyan milengi
miThas mein talKHiyan milengi
qalam ki sachchaiyan milengi
KHulus-e-jazbaat ki lagan ki
athah gahraiyan milengi
meri to daulat ajib si hai
agar kaho to sharik kar lun
tumhein bhi apni mata-e-dil mein
ki pas mere to kuchh nahin hai