istiara – udas raaton ki tirgi mein

istiara
udas raaton ki tirgi mein
agar koi naghma-rez tair
KHud apni marzi se rah bhula hua parinda
ki jis ka nanha sa dil
mohabbat ke sare jazbon se aashna ho
ki jis ke par dukh chuke hon lekin
wo uD raha ho
nai fazaon ko DhunDhta ho
main us ko aawaz de raha hun
wahi to hai mera istiara
main chahta hun ki sath mere
wo git gae
nai ruton ke mohabbaton ke
zamin ko KHush-rang karne wali
tamam gul-rez saaton ke