ishq ki taqwim mein

‘mushir’-uncle! ye sab baaten adhuri hain
jo main ne aap se ki thin
jo mujh se aap ne ki hain
magar chaliye
abhi to jin ki botal
aur aadhi sham baqi hai
ye baaten phir se karte hain
‘mushir’-uncle! zamana ishq se baDh kar nahi hai
jo kahe jo kuchh kare
jo bhi dikhae
ishq se baDh kar nahi hai
ishq to KHud ek zamana hai
ye pura ahd hai
ek daur hai
is daur mein kya kya nahi hota
kabhi ye daur daur-e-ibtila hai
aur kabhi ek sarKHushi
waraftagi ka ahd-e-paiham hai
‘mushir’-uncle! kabhi mahbub ka jab nam aa jae
to meri sans ki Dori mein
girhen paDne lagti hain
ye main aur aap donon jaante hain
jis tarah jadu hai bar-haq
ishq bar-haq hai
zaminon aasmanon
is jahan, baqi jahanon mein
zaman-e-ishq bar-haq hai
‘mushir’-uncle hamare pas do hi raste hain
masala ye hai
ki donon raste ab
ek hi jaanib se aate
ek hi jaanib ko jate hain
ki main aur aap donon jaante hain
jis tarah jadu hai bar-haq
ishq bar-haq hai!