hijr – ek muhib sannaTa

ek muhib sannaTa
hijr ka ghana jangal
jis ke sab daraKHton par
wahshaton ka pairahan
pairahan se lipTi hai
na-umidiyon ki bel
bel ka har ek patta
apne daman-e-dil mein
hijr ka ghana jangal