hawa sairab karti hai

zaminen chahiyen lamba talluq kasht karne ko
kahin rahne ko basne ko
magar main to
tumhaari zindagi ke garm mausam mein
hawa ka ek jhonka tha
hawa bahti hui aati hai
apne paniyon mein
jism-o-jaan ke habs ko gharqab karti hai
hawa par ghar nahi bante
hawa se sans aati hai
hawa sairab karti hai