aao jine ki baaten karen

aasman ki tarah
na-rasai ki chadar
hamare saron par tani hai
(jis mein dukh ke sitare Take hain)
us ki jaanib se nazren churaen
aaj ki raat sab bhul jaen
aao jine ki baaten karen
kaun jaane ki kya hai wafa
kis ne DhunDe se paya KHuda
in jhamelon mein paDne se kya
aao jine ki baaten karen