zarre hi sahi koh se Takra to gae hum

zarre hi sahi koh se Takra to gae hum
dil le ke sar-e-arsa-e-gham aa to gae hum

ab nam rahe ya na rahe ishq mein apna
rudad-e-wafa dar pe dohra to gae hum

kahte the jo ab koi nahin jaan se guzarta
lo jaan se guzar kar unhen jhuTla to gae hum

jaan apni ganwa kar kabhi ghar apna jala kar
dil un ka har ek taur se bahla to gae hum

kuchh aur hi aalam tha pas-e-chehra-e-yaran
rahta jo yunhi raaz use pa to gae hum

ab soch rahe hain ki ye mumkin hi nahin hai
phir un se na milne ki qasam kha to gae hum

uTThen ki na uTThen ye raza un ki hai ‘jalib’
logon ko sar-e-dar nazar aa to gae hum