us ne jab hans ke namaskar kiya

us ne jab hans ke namaskar kiya
mujh ko insan se autar kiya

dasht-e-ghurbat mein dil-e-viran ne
yaad jamuna ko kai bar kiya

pyar ki baat na puchho yaro
hum ne kis kis se nahin pyar kiya

kitni KHwabida tamannaon ko
us ki aawaz ne bedar kiya

hum pujari hain buton ke ‘jalib’
hum ne kabe mein bhi iqrar kiya