KHub aazadi-e-sahafat hai

KHub aazadi-e-sahafat hai
nazm likhne pe bhi qayamat hai

dawa jamhuriyat ka hai har-an
ye hukumat bhi kya hukumat hai

dhandli dhons ki hai paidawar
sab ko malum ye haqiqat hai

KHauf ke zehn-o-dil pe sae hain
kis ki izzat yahan salamat hai

kabhi jamhuriyat yahan aae
yahi ‘jalib’ hamari hasrat hai