baTe rahoge to apna yunhi bahega lahu

baTe rahoge to apna yunhi bahega lahu
hue na ek to manzil na ban sakega lahu

ho kis ghamanD mein ai laKHt laKHt dida-waro
tumhein bhi qatil-e-mehnat-kashan kahega lahu

isi tarah se agar tum ana-parast rahe
KHud apna rah-numa aap hi banega lahu

suno tumhaare gareban bhi nahin mahfuz
Daro tumhaara bhi ek din hisab lega lahu

agar na ahd kiya hum ne ek hone ka
ghanim sab ka yunhi bechta rahega lahu

kabhi kabhi mere bachche bhi mujh se puchhte hain
kahan tak aur tu KHushk apna hi karega lahu

sada kaha yahi main ne qarib-tar hai wo dur
ki jis mein koi hamara na pi sakega lahu