baaten to kuchh aisi hain ki KHud se bhi na ki jaen

baaten to kuchh aisi hain ki KHud se bhi na ki jaen
socha hai KHamoshi se har ek zahr ko pi jaen

apna to nahin koi wahan puchhne wala
us bazm mein jaana hai jinhen ab to wahi jaen

ab tujh se hamein koi talluq nahin rakhna
achchha ho ki dil se teri yaaden bhi chali jaen

ek umr uThae hain sitam ghair ke hum ne
apnon ki to ek pal bhi jafaen na sahi jaen

‘jalib’ gham-e-dauran ho ki yaad-e-ruKH-e-jaanan
tanha mujhe rahne den mere dil se sabhi jaen