afsos tumhein car ke shishe ka hua hai
parwa nahin ek man ka jo dil TuT gaya hai
hota hai asar tum pe kahan nala-e-gham ka
barham jo hui bazm-e-tarab is ka gila hai
firaun bhi namrud bhi guzre hain jahan mein
rahta hai yahan kaun yahan kaun raha hai
tum zulm kahan tak tah-e-aflak karoge
ye baat na bhulo ki hamara bhi KHuda hai
aazadi-e-insan ke wahin phul khilenge
jis ja pe zahir aaj tera KHun gira hai
ta-chand rahegi ye shab-e-gham ki siyahi
rasta koi suraj ka kahin rok saka hai
tu aaj ka shair hai to kar meri tarah baat
jaise mere honTon pe mere dil ki sada hai