aag hai phaili hui kali ghaTaon ki jagah

aag hai phaili hui kali ghaTaon ki jagah
bad-duaen hain labon par ab duaon ki jagah

intiKHab-e-ahl-e-gulshan par bahut rota hai dil
dekh kar zagh-o-zaghan ko KHushnawaon ki jagah

kuchh bhi hota par na hote para-para jism-o-jaan
rahzan hote agar un rahnumaon ki jagah

luT gai is daur mein ahl-e-qalam ki aabru
bik rahe hain ab sahafi be-sawaon ki jagah

kuchh to aata hum ko bhi jaan se guzarne ka maza
ghair hote kash ‘jalib’ aashnaon ki jagah