zara batla zaman kya hai makan ke us taraf kya hai

zara batla zaman kya hai makan ke us taraf kya hai

agar ye sab guman hai to guman ke us taraf kya hai

agar patthar se bikhre hain to aaKHir ye chamak kaisi

jo maKHzan nur ka hai kahkashan ke us taraf kya hai

ye kya rasta hai aadam gamzan hai kis masafat mein

nahin manzil to phir is karwan ke us taraf kya hai

ajab patal hai darwaza o diwar se aari

zamin-andar-zamin be-nishan ke us taraf kya hai

tah-e-ab-e-rawan sunta hun ye sargoshiyan kaisi

sukunat kis ki hai aur aastan ke us taraf kya hai

samajhte aa rahe the jis KHala ko shahr-e-gum-gashta

wo shai kya hai KHala-e-be-karan ke us taraf kya hai

nahin khulta ki aaKHir ye tilismati tamasha sa

zamin ke is taraf aur aasman ke us taraf kya hai