tham gai waqt ki raftar tere kuche mein

tham gai waqt ki raftar tere kuche mein

aise sabit hua sayyar tere kuche mein

manzar-e-baam sar-e-did nahin khulta hai

kuchh hai na-dida ka asrar tere kuche mein

har talabgar ko hai hasil-e-guftar-e-sukut

na hai inkar na iqrar tere kuche mein

aaina sham ka raushan ruKH-e-mahtab se kar

aks chamke to ho didar tere kuche mein

waslat-e-kar baham ho ki hain jama din raat

pesha-e-hijr ke be car tere kuche mein

nafa ke khel mein samjha gaya tha taq jise

wo KHasare mein hai hoshyar tere kuche mein

aaKHir-e-umr ne ki raunaq-e-bazar tamam

na dukan hai na KHaridar tere kuche mein

ek muddat se hai tartib mein be-tartibi

na durusti ke hain aasar tere kuche mein